Monday, June 21, 2010

21st June 2010

aaj ki subha b rooz ki terha bohat achi huwe, subha abi sahi say utha b nahe tha k pehlay hath mobile per gaya aur apni janu ko call ki wo khala ammi k ghar thi raat ko dair se soey thay hum duwno tw is liay dair say ankh khuli.

piyar bhari batun k baad kuch dair nashtay k liay rukhsat li. nashta kiya sandwich banaey ofc k liay kapray isteree kiay ofc k liay tiyar huwa phir sms kia apni jaan ko k jab ghar pohancho gi tw baaten keren gay aur maen tiyar huw ker ofc k liay nikal gaya.

rastay maen mobile card load kiya isee dowran ofc say matami phone aaya "Ali bhai kahan haen ofc pohanchaen call center maen chori huw gaei hay security camera ki recording check kerni hay" piyar tw dil say kerta hun laykin piyar ko khush rakhnay k liay ofc ka kaam b pori diyanat say kerta hun ise liay jaldi say ofc pohancha..

ofc pohanch k is say pehlay k round marta saman rakhtay he larkay ko sath pakra aur sedha callcenter pohancha aur video recording daykhnay lagay. ise doran janu ka b sms aachuka tha k wo ghar pohanch gaei hay tw usko piyar kiay bina na rehsaka kaam tw chal he raha tha aur us maen koi khalal b nahe huwta aagar aik chota sa sms ker k apni jaan ko piyar ker lun.

aglay he lamhay video maen choor pkra gaya, log idher udher huw gaey aur maen nay moqa ghaneemat jan ker apni jaan ko call ker li piyar bhari batun ka tabadla huwa bhai jan k bachun ki shytaniyan discuss huwen maen nay kaha k dayk lo humaray sample b aysay he hun gay khair phir kuch intense romentic baten keren but meri jaan nay serious baten kernay say roka aur kaha k hasi mazaq ki baten kertay haen aur maen hasay baqhair na rehsaka kuch hasi mazaq ki baten huwee jab sath huwtay haen tw waqt ka pata he nahe chalta idher hum batun maen mashghool thay udher mujhay 3 bar khanay ka bulawa aachuka tha dil tw nahe chata tha but phir b aik short break k liay jana para aur apni jaan ko aik short break diya k wo kuch aram ker lay,

khana khatay khatay baten huwte rahen choor ki himmat discuss huwte rahe jo kuch pichlay chorun k sath huwta raha hay woh discuss huwta raha sethun k hathun kutaei k waqiyat sunta raha aur aik acha sama bandha raha phir bari mushkil say baat ko kaat k wahan say nikla

koi 30 min ki judaei k baad aik baar phir apni jaan k sath tha aab woh araam ker rahi the aur mujhay uski sotay waqt ki nasheeli awaz bohat piyari lagti hay bachun ki himaqaten discuss kertay rahay k unhuwnay aaj apni phupi k phone ka pora operation fermaya aur phuppa ki tasweeren b daykhen wah ji wah kiya baat hay phuppa ki k foran he irada zahir ker diya k shadi k baad saray bacha party ko treat milay gi aur ice cream khanay jaen gay.

phir apnay pehlay aur akheri piyar ki pehli salgirah jo humaray milnay k baad aanay wali hay us k liay cake bhejwanay ka irada zahir kiya but insist kernay k bawajood mana ker diya gaya even pasteries ki offer b namanzoor huw gaei than comes the real bad news bhabi subha apnay ghar nahe jaen gi woh khana nibta ker aram say sham maen jaen gi aur mera plan flop huw gaya aysay maen aik mayosi bhara indesha meri jaan nay zahir kiya k jaysay shadi k baad usko b ami say door ker diya jaey ga aur ami akeli huw jaen gi laykin ye baat meray dil say pochi jaey tw maen tw ami ki b utni he care kernay wala hun jitni apni amma ki kerta hun hargiz b unko akela nahe kiya jaey ga balkay apna kuch na kuch schedule banaya jaey ga k duwno ghar sukoon say chal saken

khair piyar bhari batun k bech jaab ehsas huwa k baychari larki thaki huwe hay subha say kam ker rahi the aur abi aram kernay layti hay tw kuch dair behtar huw ga k aram kernay diya jaey.

apni jaan ko khuwaabun ki dunya k hawalay kiya aur khud choor ka chera identiy kernay ki mohim per nikal gaey bara he shatir choor tha jo rain coat pehen ker aaya saray camerun say bachta bachata nikal gaya aysay k us ka chera he nazar na aasakay laykin usko pata nahe thjavascript:void(0)a k uska pala kis james bond k ustad aur konsay sherlockhomes k baap say per gaya hay bil akher usko couridor maen baychain halat maen agay pechay tehil lagatay daykh he liya aur uski baychayni nay uska kaam kerdiya.

ofc ki chuti huwnay wali thi k meri piyari raaj dulari ka first time gud evening ka sms aaya jo seedha dil ki gheraiyun maen ja kr laga aey dil sambhal ja kahi koi mini heart attack he na aajaey. aglay he lamhay chutti ki tiyariyan ker raha tha aur kuch he dair maen driver sab ki call aagaey k wo aa gaey haen. maen jaldi say gari maen pohancha aur pechli seat per bethna pasand kiya takay foran he apni jan say call per baten start huw saken kiya mazay ki zindagi hay aey mobile bananay walay teri azmat ko salam duw premiyun ko itna qareeb ker diya hay jab dil kerta hay aik duwsray k bilkul pass aajatay haen.

arey batun he batun maen ye khabar b mili k ami ka plan hay k 23rd ko dinner maen mujh ko bulaya jaey aur janu nay idea pass kiya k ghar maen khabar kerdijiay ga k ghar late aaun ga ofc maen kamm hay aur hum sath maen dinner per chalen gay ami say jab abbu ka pocha k wo b tw hun gay tw ami nay bola k unko kon lay ker ja raha hay.so sweet of my mother in law khair humari baten tw aysi he masomiyat bhari huwte haen yehi chuti chuti khushyan haen jo sari lyf enjoy kerni haen.batun he batun maen ghar pohanch gaya phone per rukhsat mangi aur ghar maen etry pakri.

fresh huw ker kapray change ker k neechay he aagaya kiyu k neechay koi hay nahe tw meri zimadari lagaei gaei hay k mujhay ghar ki neghebani aur abba ji aur dadi amma ki khidmat kerni hay aur ghar ki sari zimadariyan in nojawan kandhun per he haen. nechay aaker phir cal day mari kiya keren aik lamha alag nahe raha jata jo khushi huw sath maen share keren aur jo ghum huw usko mil ker dour keren. piyar bhari batun k bech apni aap beti sunani start ke kuch lamhay he guzray thay k aik lamba hold humaray bech haeil huw gaya janu k pass abbu aagaey thay tw hold kerna pera kafi taweel hold kay bad jab mujhay pareshani huwe tw sms ker he diya k kitna lamba hold huw ga tw kahen ja ker khiyal aaya k kise ko hold per b rakha huwa hay bari he cute hay meri janu her herkat per hasi aati hay aur dili khushi milti hay you phir baat shuruw huwna he chati thee k namaz ka time huw gaya aur maghrib ka break lay ker raat tak k liay aik duwsray ko farigh kiya.

namaz k baad amma aagaen tw unhuwnay bataya k maen apna tuhfa nikal k bhabi ko day dun woh 23rd ki dopeher maen jaen gi tw janu ka tohfa b sath he lay jaen gi dil tw nahe kerta k ye pehli salgirah itni pheeki aur baymaza guzar jaey but duwno taraf say aysay he aasaar lag rahay haen kaash k maen is pehli salgirah ko yadgar bana sakun khair wohi huwga jo Allah ko manzoor maen tw koshish ker raha hun meri taraf say iraday maen koi kami nahe.

phir kafi dair tak miss kerta raha apni jaan ko k shayad kuch sms aajaey but ajeeb he preshan kun response miltay haen jaysay meri kabi yaad aati he nahee kiyu huwta hay aysa kuch nahe pata kafi dair baad wo online aaei kuch baten online huwe phir bech maen he khana b khaliya maen nay jaldi say aur phir phone per baat huwe tw apni aap beti muqammal perh kr sunaei shuruw kernay laga tw kaha k "shuruw say nahe jahan say chora tha wahen say perhaen" bus phir wo khana khanay chali gae maen intezarr kerta raha 2 ghantay huw gaey aur intezar kertay kertay so gaya

raat ko 111:30 bajay mehsoos huwa k phone per koi sms aaya hay. kiya daykhta hun k meri jaan k kaei sms aur kuch misscalls aei huwe theen jo dil ko bohat achay lagay but afsoos huwa k maen intezar kertay kertay so kaysay gaya aaj aysa duwsri baar huwa tha mujh say intezaar bilkul nahe huwta ya tw apnay haal per rona aata hay ya phir neend aajati haykiya piyar aysay he huwta hay kafi maheeno baad aaj pehli bar sonay say pehlay piyar aur baten nahe huwen. kuch afsurdagi tw thee but apni jaan ki thakan ka jab khiyal aaya tw socha k usko jagana thek nahe agar so rahi hay tw thek soo janay daytay haen. aur phir sms per he gud night kiss ker k gud night keh diya. khud kafi dair tak yadun maen ghum raha ache ache baten sochta raha jagti ankhun say humari suhani lyf k khuwab daykhta raha aur bil akher ankhun maen nami liay soo gaya is ankhun ki nami ka koi khas rishta hay meray piyar say Allah keray mujhay wo taqat milay k ye nami meray piyar ki ankhun maen kabi na aanay dun... Aameen

No comments:

Post a Comment