Tuesday, June 22, 2010

22nd June 2010

rooz ki terha subha jab utha tw sab say pehlay phone ko hath maen liya serprise serprise aaj tw meri jaan ka sms pehlay he aachuka thaa waah ji waah kiya mazay ki feeling huwte hay jab aap ko jis say piyar hay woh apna piyar bhara response day maza aajata hay. itni romentic shuruaat huwe hay din ki lagta hay bohat aacha din guzray ga..

message perhtay he call keri aur bohat piyar kiya, phir din bhar k plans discuss huway phir nashta kernay k liay chala gaya nashtay k baad phir baat huwe aab thora mood afsurda tha jaan ka jis k liay maen b preshaan huw gaya k aakher achanak kiya baat huw gaei bus yunhi apni jaan ka ghum aur preshani daykh ker apni b ankhen num huw gaen aur aur phir jab tak duwno taraf ka mood khushgawar nahe huw gaya us waqt tak aik duwsray k sath rahay aur baten kertay rahay aur bohat piyar kertay huway us ki sari pareshani aur tension dour ki aur bilakher us k cheray per muskurahaten bikherdaen.

sab set kertay kertay kafi dair huw gaei thee tw bus fata fat kapray change kiay aur ofc k liay nikal para ofc maen baray kaam thay subha k waqt ache khasi tensions chal rahi haen kiyun k meray transfer ki khabren urooj per haen aaj b bohat sari details mangi gae theen mujh say tw woh compile kerta raha aur khasa busy raha.

khana kha ker free huwa tw sms per baat ki bataya k i m missing her alot us nay kaha k woh b bus abi he khana kha ker free huwe hay aur kuch dair aaraam keray gi. phir b yunhi chaltay phertay chooti si call ker li aur bataya k raat ko jaan k sath waqt guzarna chata hun jab din change huw raha huw ga aur mujh ko meri jaan ka promise mill gaya.aur phir apni jaan ki thakun ko daykhtay huway usko aram kernay k liay time diya aur khud yunhi computer game khelnay laga.

jaan nay aram kiya maen us duwran jokes aur funny sms perhnay laga aur apni jan ko bhejnay laga kuch aur b missing u aur love u k sms kerta raha kuch yunhi tafreeh k b message bhej raha tha but koi response he nahe aaya khair jaan ko Allah k hawalay kiya aur khud apna dehan duwsri taraf bata ker rakha aur yuni chutti ka time huw gaya rastay say tariq road per ruka aur jaan k liay card liya aur wo layta huwa ghar pohanch gaya.

ghar pohancha amma k sath kuch waqt guzara tv daykha khana wana khaya aur intezar kernay laga raat k huwnay ka raat ko jaan the aur maen tha aur humaray bech baytahasha piyar her lamha bohat acha lag raha tha aaj ki raat maen nay apni jaan ko bohat bohat piyar kiya aur us nay mujh ko bohat bohat piyar kiya ye humari sath maen pehli birthday thee aur haqeeqat maen is ki shuruwaat bohat romentic huwe itni romentic k hamesha yaad rahay gi. piyar kertay kertay baten kertay kertay hum duwsray din maen dakhil huw gaey.

No comments:

Post a Comment